Maut Shayari In Hindi | मौत शायरी इन हिंदी
इंतज़ार है हमें तो बस अपनी मौत का,
उनका वादा है कि उस दिन मुलाकात होगी
Intezaar Hai Hamein Toh bas Apni Maut Ka
Unka Waada Hai Ki Us Din Mulakaat Hogi
Maut Ki Shayari In Hindi
मौत ही इंसान की दुश्मन नहीं
ज़िंदगी भी जान ले कर जाएगी-अर्श मलसियानी
Maut Hi Insaan Ki Dushman Nahi
Zindagi Bhi Jaan Lekar Jayegi - Arsh Malsiyaani
मौत से तो दुनिया मरती है,
आशिक तो प्यार से ही मर जाता है
Maut Se Toh Duniya Marti Hai
Aashiq Toh Pyaar Se Hi Mar Jaata Hai
Maut Shayari In Hindi 140 Character
मोहब्बत और मौत की पसन्द तो देखो यारो
एक को दिल चाहिए और दुसरे को धड़कन
Mohabbat Aur Maut Ki Pasand Toh Dekho Yaaron
Ek Ko Dil Chahiye Aur Dusre Ko Dhadkan
Meri Maut Shayari
बे-तअल्लुक़ ज़िंदगी अच्छी नहीं
ज़िंदगी क्या मौत भी अच्छी नहीं -हफ़ीज़ जालंधरी
Be- Talluk Zinadgi Achchi Nahi
Zindagi Kya Maut Bhi Achchi Nahi - Hafeez Jalandhari
Maut Shayari 2 Lines Hindi
कहाँ ढूंढोगे मुझको, मेरा पता लेते जाओ,
एक कब्र नई होगी उस पर जलता दिया होगा
Kaha Dhoondhoge Mujhko Mera Pata Lete Jao
Ek Kabr Nai Hogi Us Par Jalta Diya Hoga
Maut Shayari In Hindi For Love
वो कर नहीं रहे थे मेरी बात का यकीन,
फिर यूँ हुआ के मर के दिखाना पड़ा मुझे
Wo Kar Nahi Rahe The Meri Baat Ka Yakeen
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhaana Pada Mujhe
Shayari On Maut And Zindagi
ये जो मेरी मौत पर रो रहे है,
अभी उठ जाऊं तो जीने नहीं देंगे
Ye Jo Meri Maut Par Ro Rahe Hai
Abhi Uth Jaun Toh Jeene Nahi Denge
ज़िंदगी इक हादसा है और कैसा हादसा
मौत से भी ख़त्म जिस का सिलसिला होता नहीं -जिगर मुरादाबादी
Zindagi Ik Haadsa Hai Aur Kaisa Haadsa
Maut Se Bhi Khatm Jiska Silsila Hota Nahi - Jigar Muradabaadi
सुलगती जिंदगी से मौत आ जाये तो बेहतर है,
हमसे दिल के अरमानों का अब मातम नहीं होता\
Sulagati Zindagi Se Maut Aa Jaaye Toh Behtar Hai
Hamse Dil Ke Aarmaanon Ka Ab Matam Nahi Hota
आई होगी किसी को हिज्र में मौत
मुझ को तो नींद भी नहीं आती-अकबर इलाहाबादी
Aayi Hogi Kisi Ko Hizr Me Maut
MujhKo Toh Nind Bhi Nahi Aati - Akbar Illahabadi
कौन कहता है कि मौत आई तो मर जाऊँगा
मैं तो दरिया हूँ समुंदर में उतर जाऊँगा -अहमद नदीम क़ासमी
Kaun Kehta Hai Ki Maut Aayi Toh Mar JaungaMai Toh Dariya Hu Samandar Me Utar Jaunga - Ahmad Naseem Kaasmi
आता है कौन कौन तेरे ग़म को बांटने,
तू अपनी मौत की अफवाह उड़ा के देख
Aata Hai Kaun-Kaun Tere Gum Ko Baantne
Tu Apni Maut Ka Afwaah Uda Ke Dekh
माँगी थी एक बार दुआ हम ने मौत की
शर्मिंदा आज तक हैं मियाँ ज़िंदगी से हम
Maangi Thi Ek Baar Dua Hamne Maut Ki
Sharminda Aaj Tak Hai Miyaan Zindagi Se Hum
पता नहीं कौन सा जहर मिलाया था तुमने मोहब्बत में
ना जिंदगी अच्छी लगती है और ना ही मौत आती है
Pata Nahi Kaun Sa Zehar Milaaya Tha Tumne Mohabbat Me
Na Zindagi Achchi Lagti Hai Na Hi Maut Aati Hai
जो लोग मौत को ज़ालिम क़रार देते हैं
ख़ुदा मिलाए उन्हें ज़िंदगी के मारों से -नज़ीर सिद्दीक़ी
Jo Log Maut Ko Zaalim Karaar Dete Hai
Khuda Milaye Unhe Zindagi Ke Maaron Se - Nazeer Siddiqui
मौत को तो यूँ ही बदनाम करते है लोग,
तकलीफ तो साली ज़िन्दगी देती है
Maut Ko Yun Hi Badnaam Karte Hai Log
Takleef Toh Saali Zindagi Deti Hai
मौत का भी इलाज हो शायद
ज़िंदगी का कोई इलाज नहीं -फ़िराक़ गोरखपुरी
Maut Ka Ilaaz Ho Shayad
Zindagi Ka Koi Ilaaz Nahi -Firaaq Gorakhpuri
Read More -

No comments: