Apni Aankho Ke Samandar Me - Nazeer Bakari
Hello Friends Kaise Hai Aap Log Nazeer Bakari Ki Ye Dilkash Shayari Seedhe Aapke Dil Me Utar Jaati Hai Ise Padhne Ke Baad Aisa Lagta Hai Jaise Shayari Ki Mehangi Kist Apne Jahan Me Dho Rahe Ho Wakai Dil-o-Dimaag Par Chaa Jaane Wala Ye Ghazal"Apni Aankho Ke Samandar Me Utar Jaane De" Behad Hi Khush Karne Waala Hai...Mai Aapse Guzarish Karta Hu Plzz Aap Ise Apne Doston Aur Parivaar Me Zaroor Share Karein Taaki Aapke Alaava Bhi Log Is Shayari La Lutf Utha Sakein.
अपनी आँखों के समुंदर में उतर जाने दे
तेरा मुजरिम हूँ मुझे डूब के मर जाने दे
Apni Ankho Ke Samundar Me Utar Jane De
Tera Mujrim Hu Mujhe Doob ke Mar Jane De
ऐ नए दोस्त मैं समझूँगा तुझे भी अपना
पहले माज़ी का कोई ज़ख़्म तो भर जाने दे
Ae Naye Dost Mai Samjhunga Tujhe Bhi Apna
Pehle Maazi Kaa Koi Zakhm Toh Bhar Jaane De
ज़ख़्म कितने तिरी चाहत से मिले हैं मुझ को
सोचता हूँ कि कहूँ तुझ से मगर जाने दे
Zakhm Kitni Teri Chahat Se Mile Hai Mujh Ko
Sochta Hu Ki Kahu Tujhse Magar Jaane De
आग दुनिया की लगाई हुई बुझ जाएगी
कोई आँसू मिरे दामन पे बिखर जाने दे
Aag Duniya Ki Lagaai Hui Bujh Jayegi
Koi Ansu Mere Daman Pe Bikhar Jaane De
साथ चलना है तो फिर छोड़ दे सारी दुनिया
चल न पाए तो मुझे लौट के घर जाने दे
Sath Chalna Hai To Phir Chor De Sari Duniya
Chal Naa Paye To Mujhe Laut Ke Ghar Jaane De
ज़िंदगी मैं ने इसे कैसे पिरोया था न सोच
हार टूटा है तो मोती भी बिखर जाने दे
Zindgi Maine Ise Kaise Piroya Tha Naa Soch
Haar Toota Hai To Moti Bhi Bikhar Jaane De
इन अँधेरों से ही सूरज कभी निकलेगा 'नज़ीर'
रात के साए ज़रा और निखर जाने दे
In Andhero Se Hi Suraj Kabhi Niklega "NAZEER"
Raat Ke Saaye Zara Aur Nikhar Jaane De
Read More -

No comments: