Mujhe Sahal Ho Gayi Manjilein - Majrooh Sultanpuri
मुझे सहल हो गईं मंजिलें वो हवा के रुख भी बदल गये।
तिरा हाथ हाथ में आ गया कि चिराग राह में जल गये।
Mujhe Sahal Ho Gayi Manjilein Wo Hawa Ke Rukh Bhi Badal Gaye
Tera Hath-Hath Me Aa Gaya Ki Chiraag Raah ,Me Jal Gaya
वो लजाये मेरे सवाल पर कि उठा सके न झुका के सर,
उड़ी जुल्फ़ चेहरे पे इस तरह कि शबों के राज मचल गये।
Wo Lajaye Mere Sawaal Par Ki Utha N Sake Jhuka Ke Sar
Udi Zulf Chehre Pe Is Tarah Ki Shabo Ke Raaz Machal Gaye
वही बात जो न वो कह सके मिरे शेर-ओ-नज़्मे आ गई,
वही लब न मैं जिन्हें छू सका क़दहे-शराब में ढ़ल गये।
Wahi Baat Jo N Wo Keh Sake Mere Sher-o-nazme Aa Gayi
Wahi Lab N Mai Jinhe Chu Saka Kadahe Sharaab Me Dhal Gaye
तुझे चश्मे-मस्त पता भी है कि शबाब गर्मी-ए-बज्म है,
तुझे तश्मे-मस्त ख़बर भी है कि सब आबगीने पिघल गये।
Tujhe Chashme-Mast Pata Bhi Hai Ki Shabaab Garmi-e-Bazm Hai
Tujhe Tashme-Mast Khabar Bhi Hai Ki Sab Aabgeene Pighal Gaye
उन्हें कब के रास भी आ चुके तिरी बज्मे-नाज़े के हादिसे,
अब उठे कि तेरी नज़र फिरे जो गिरे थे गर के संभल गये।
Unhe Kab Ke Raas Bhi Aa Chuke Teri Bazme Naaz Ke Hadase
Ab Uthe Ki Teri Nazar Phire Jo Gire The Gar Ke Sambhal Gaye
मिरे काम आ गई आख़िरश यही काविशें यही गर्दिशें,
बढी इस क़दर मिरी मंजिलें कि क़दम के खार निकल गये।
Mere Kaam Aa Gayi Aakhirash Yahi Kaavishein Yahi Gardishein
Badhi Is Kadar Mere Manjilein Ki Kadam Ke Khaar Nikal Gaye
Read More -

No comments: